Kis tarah apni tabahi ki khabar le jaye
Kis tarah apni tabahi ki khabar le jaye
pass zainab sa kay bacha kya hai jo ghar le jaye
Bolin hongi Ali Akbar as ko saja kar Zainab sa
chand ko mere kisi ki na nazar le jaye
Sonchti hongi yeh bano mera bach jaye suhag
Hurmula mujh se mera lakht e jigar le jaye
Paon zakhmi hain to rahon main hain paththar kante
Jane Abid as ko kahan tak yeh safar le jaye
Le gai baap ka saya to saron se unke
Ab yateemon ko hawa chahe jidhar le jaye
Aik 2 ghar kay chiragon ko bujha de lekin
Cheen kar koi na ummed e sahar le jaye
Rakh kay aankhon kay sulagte huway is maqtal main
Lash bachchon ki kay shabbeer ka sar le jaye
Shayri ki meri meraj yahi hogi NAZEER
Zaikr e sarwar main mujhe maut agar le jaye
............Zeya Abbas (Haideri)............
Youtube Search On Zeya Jalalpuri
............Zeya Abbas (Haideri)............
Youtube Search On Zeya Jalalpuri
Comments
Post a Comment