Pukari Zainab (sa) Ghareeb Ro Ro Yateem Kahte Hain Log Hum Ko

Pukari Zainab (sa) ghareeb ro ro Yateem kahte hain hum ko Batao ya Murtaza (as) kahan ho Yateem kahte hain log hum Na gham main itna rulao baba Sada tum apni sunao baba Kahan sidhare ho aao baba Yateem kahte hain log hum ko Pachaden khate hain bhai Shabbar (as) Hussain (as) rote hai sar patak kar Malen na kis tarah khak munh par Yateem kahte hain log hum ko Sitam ya buturab kaisa Hua hai jeena azab kaisa Diya hai tum ne khitab kaisa Yateem kahte hain log hum ko Nikal kay turbat se aao amma Hamen gale se lagao amma Kahan hain baba batao amma Yateem kahte hain log hum ko Jahan main ab jee kay kya karen hum Falak ka kin se gila karen hum Kaho kahan tak suna karen hum Yateem kahte hain log hum ko Na ibn e muljis ne rahm khaya Sitam ka taigh tumhen lagaya Utha hai jab se tumhara saya Yateem kahte hain log hum ko Ab aao sher e khuda kahan ho Batao ya murtaza kahan ho Suno to uth kar zara kahan ho Yateem kahte hain log hum ko Ajal ne nana se bhi chudaya Raha na maa baap ka bhi saya Hum aaj kis se kahen khudaya Yateem kahte hain log hum ko Nikal kay rauz e se aao nana Taras yateemon peh khao nana Hamen gale se lagao nana Yateem kahte hain log hum ko Kare jo SHAUKAT yateem nala Hile na kis tarah arsh e aala Bayan tha Zainab (sa) ka shah e wala Yateem kahte hain log hum ko

............Zeya Abbas (Haideri)............
Youtube Search On Zeya Jalalpuri
India

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida