5 Muharram Salam Auno Muhammad (as)
(Salam)
Maqtal se lash e Aun o Mohammad (as) ki aai hain
Masnad peh la kay shah ne dono letai hain
Kya kya lade hazaron se yeh dono rashk e mah
Dil khol kay shujaaten apni dekhi hain
Bole Hussain (as) pyar karo in ko aye bahen
Dukhyari maa ne lashen gale se lagai hain
Taskeen dil ko ho zara aankhen to khol do
Kya badnaseeb maa ko yeh shaklen dekhai hain
Is kamsini main jazbaye nusrat to dekhiye
Kya pyare pyare jimson peh talwar khai hain
Sadq e main jaun fidyaye shah e huda hain yeh
Bachchon ne bhook o pyas main jane gawai hain
Main dhoodh bakhshti hun yeh sub log hain gawah
Dono shahzad e bhai kay mere fidai hain
............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
Comments
Post a Comment