Salam Hazrat Muslim Bin Aqeel (as)


Salam
Jab kufiyon ne kufe main muslim as se dagha ki Jo ahd kiya tha har ik ne us par na wafa ki Thi sharm khuda se na mohammad se haya ki Mazloom peh bekas peh musafir peh jafa ki Pani na dam e marg diya tashna dahen ki Kis zulm se tukde kiya aawara watan ko ----------------------------------------------------------- Qatil ne lagai sar e muslim as peh jo talwaar Sar cut kay pukara main fida e sare shabbeer Kothay se giraya jo tane muslim e dilgeer Ya Haider e karrar kaha aur kahi tabeer Qatre to gire khoon kay daman e Nabi main Sar goad main Zahra sa ki tan aagosh e Ali as main --------------------------------------------------------------- Logo dil e Zahra sa peh qayamat ki ghadi hai Aghaz e karbala hai museebat yeh badi hai Tum Eid ki khushiyon main kahin bhool na jana Bazar main muslim as ki abhi lash padi hai -------------------------------------------------------------
............Zeya Abbas (Haideri)............
Youtube Search On Zeya Jalalpuri

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida