Ho Gai Aah Bepidar Zainab (sa)
(Salam)
Ho gai aah bepidar Zainab (sa)
Kam hai ab roye jis qadar Zainab (sa)
Aaj hai farsh e gham peh Ahle aza
Baap kay gham main nauha gar Zainab (sa)
Rok le apne aansuon ko zara
Ab to rona hai umr bhar Zainab (sa)
ibteda hai abhi to kufe main
Tujh ko hona hai dar badar Zainab (sa)
Majmaye aam hoga galiyon main
Aur hogi barahna sar Zainab (sa)
Tere nalon se ho raha hai bapa
Aik kohrama arsh par Zainab (sa)
Sayyada aagai hai Jannat se
Sara matam kada hai ghar Zainab (sa)
Karte hain jis tarah yateem basar
Ab karo umr youn basar Zainab (sa)
Raunaqen uth rahi hain duniya se
Ja raha hai tera pidar Zainab (sa)
..........Zeya Abbas (Haideri)............
Youtube Search On Zeya Jalalpuri
..........Zeya Abbas (Haideri)............
Youtube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment