Salam BiBi Fatima Zahra (sa) || Chor Kar Amma Zahra (sa) Na Jao
(Salam)
Hai yeh nauha Hussain o Hasan (as) ka
Chor kar amma Zahra (sa) na jao
Peet kay sar kahen bint e Zahra (sa)
Chor kar amma Zahra (sa) na jao
Zulm ki inteha hai khudaya
Jalta dar Fatima (sa) par giraya
Zakhmi pahlu hua Sayyada ka
Chor.........................................
Ro rahe hain lahed main payamber
Ro rahe hain Ali (as) bhi tadap kar
Bain sun kay Hussain (as) o Hasan (as) ka
Chor.......................................
Ro rahe hain sabhi gham kay mere
Sayyada Fatima (sa) kay dulare
Ho gaya ghar main kohram barpa
Chor.........................................
Aah royen na kyon kul khudai
Bint e Zahra (sa) ki sun kar duhai
Kaisa ujda hai ghar Fatima (sa) ka
Chor......................................
Kyon na matam karen sar ko peeten
Kyon na Zahra (sa) ki ghurbat peh royen
Shab main uththa hai jiska janaza
Chor......................................
Zulm kaisa yeh KAMI ZEYA hai
Dhoop main qabr e khairun nisa hai
Waye ghurbat nahi koi saya
Chor......................................
Poet:Kamran Kami (Pakistan)
............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
From Blogger iPhone client
Comments
Post a Comment