Jab watan apne luta qafela lai Zainab (sa) || Lyrics ||
Salam
Jab watan apne luta qafela lai Zainab (sa)
Kitni aazurda o bekas nazar aai Zainab (sa)
Haal dekha jo watan walo'n ne badh kar pucha
Kin sitamgaro’n ne halat yeh banai Zainab (sa)
Tere hamrah gaye thay woh kahan hain sare
Kya hua woh tera Shabbeer (as) sa bhai Zainab (sa)
Kya bataun jo bayaba’n main qayamat tooti
Daagh ghar bhar ka liye dil peh aai Zainab (sa)
Lut gaya samne aankho’n kay bhara ghar sara
Dekh lo waqt ki kaisi hai satai Zainab (sa)
Ghar Mohammad ka tha loota jo musalmano ne
Rukh peh saughaat tamancho’n ki hai lai Zainab (sa)
Zulm per zulm huway hum peh watan walo’n magar
Koi shikwa na labo’n peh kabhi lai Zainab (sa)
Chal gaya halq peh bhai kay laee’n ka khanjar
Ro kay deti rahi zalim ko duhai Zainab (sa)
Sar peh chadar bhi na thi jis ka kafan de deti
Bekafan lash waha’n chod kay aai Zainab (sa)
Sun kay yeh seif dee’n maula se tere gham ka baya’n
Momino ne safe matam hai bichai Zainab (sa)
Tere HAMID peh
bhi ik nazr e karam ho jaye
Sub ghamo’n se use mil jaye rehai Zainab (sa)
Poet: Janab Hamid Sahab
............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment