Salam Bibi Fatima Zahra (sa) || Bayan Karti Thi Fizza Yeh Kya Hua BiBi ||
(Salam)
Bayan karti thi fizza yeh kya hua bibi
Makan aaj yeh sunsaan ho gaya bibi
Abhi Rasool e Khuda he ko ro rahe thay hum
Yeh aur taza qayamat hui bapa bibi
Pachade'n khati hain Kulsoom (sa) ghash main hai Zainab (sa)
Ab un ko kaise manaun gi main bhala bibi
Khuloos dil se hun nadim hai aiteraaf mujhe
Na mujh se aap ki khidmat hui ada bibi
Jo baba jaan ki khidmat main tum ko jana tha
To phir mujhe bhi na kyon sath le liya bibi
Abhi to dil main mere aarzoo thi khidmat ki
Kaneez e khas se kyon ho gai khafa bibi
Nigah e lutf ho is par ki yeh bhi khadim hai
Qabool kijiye nauha SAEED ka bibi
............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment