Salam Bibi Fatima Zahra (sa) || Ho Baya'n Kaise Meri Museebat Baba
(Salam)
Ho baya’n kaise bhala meri museebat baba
Mujh peh guzri hai kai baar qayamat baba
Ghar jalaya hai mera baba teri ummat ne
Mujh peh darwaza giraya hai teri ummat ne
Mere mohsin (as) ki hui haye shahdat baba
Ho gaya ab mera pahlu bhi shikasta baba
Le kay chalti hun asa ka main sahara baba
San’s leti hun to hoti hai azeeyat baba
Zulm aisa hua balo’n main safedi aayi
Mujh peh 18 baras main he zaeefi aayi
Aap se aayi hun karne main shikayat baba
Dushmani aale payamber se nibhate he rahe
Jab talak zinda rahi mujh ko rulate he rahe
Main karun kaise baya’n apni museebat baba
Phaad dali teri tahreer sitam garo’n ne
Mujh se mangi hai gawahi bhi musalmano ne
Khoob ummat ne diya ajr e risalat baba
Yaad kar kar kay pidar ko hain you’n roti’n paikar
Khoon aankho’n se hain din raat bahati'n paikar
Bain Zahra (sa) kay hain sun lo meri ghurbat baba
Poet:Paikar Jalalpuri Ambedkar Nagar UP India
…………Zeya Abbas Haideri…………
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment