Subbat alaiya masaibun lau annaha || Ayyame Fatimaya || Lyrics
(Nauha)
Goonjti hai kiske rone ki sada
Subbat alaiya masaibun lau annaha
Aye madina hai yeh kis ka marsiya
Subbat alaiya masaibun lau annaha
Mere baba kya bataun aap ko
Rona payi 1 beti baap ko x2
Khoob ummat ne diya mujh ko sila
Subbat alaiya masaibun lau annaha
Qabr main le kar yeh gham jaungi main
Kaise woh manzar bhula paungi main x2
Rassiyo’n main abul hasan ka tha gala
Subbat alaiya masaibun lau annaha
Meri aankho'n main andhere cha gaye
Batn main mohsin shahadat paa gaye x2
Mujh peh darwaza gira jalta hua
Subbat alaiya masaibun lau annaha
Kya kahun mujh par jo guzri sakhtiya'n
Kis tarah dekho gay tooti pasliya'n x2
Band kar lo aankhe'n aye mushkil kusha
Subbat alaiya masaibun lau annaha
Le kay bachcho'n ko bhare darbar main
Haq ki khatir majmaye aghyar main x2
Ja na sakti thi magar jana pada
Subbat alaiya masaibun lau annaha
Uff woh matam ab jo karna hai mujhe
Maqtalo'n se bhi guzarna hai mujhe x2
Mere khoo’n ko dekhna hai karbala
Subbat alaiya masaibun lau annaha
Aye khuda dil kaun sa laungi main
Zabt aakhir kaise kar paungi main x2
Betiya'n jab hongi meri be rida
Subbat alaiya masaibun lau annaha
Koi gumbad aasta'n koi nahi
Qabr par bhi sayeba'n koi nahi x2
Aye musalmano yahi hota hai kya
Subbat alaiya masaibun lau annaha
Apne baba ko main royi dhoop main
Sub kamayi apni khoyi dhoop main x2
Aaj bay saya hai phir marqad mera
Subbat alaiya masaibun lau annaha
Bazm main Aamir hai ik shore fogha'n
Woh asar Nayyar magar mumkin kahan
Fatima Zahra (sa) kay nauhe main jo tha
Subbat alaiya masaibun lau annaha
Poet:Jaban Nayyar Jalalpuri
............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment