Aankho'n Se Rawa'n Ashk Ka Dariya Nahi Dekha

                             (salam)
Aankho'n se rawa'n ashk ka dariya nahi dekha Har bachche ne jalta hua khaima nahi dekha Seene se jawa'n lal kay sina khainch raha hai Shabbeer (as) kahin aap sa kaleja nahi dekha Akbar (as) kay janaz e peh qayamat ki ghadi thi Shabbeer (as) ko aisa kabhi rota nahi dekha Asghar (as) kay janaze peh kadi dhoop khudaya Bano ko kabhi chao'n main baitha nahi dekha Na zee'n na zamee'n par hai dil e Fatima Zahra (sa) Teeron peh moallaq hai dil e Fatima Zahra (sa) Tareekh ne aisa kabhi lasha nahi dekha Rukhsar e Sakina (sa) peh tamancho'n kay nisha'n thay Acha hua Abbas (as) ne chehra nahi dekha Bazaro'n main laye ho kise tum ko khabar hai Khursheed ne jin ka kabhi chehra nahi dekha KAMI o ZEYA ghodo'n se pamaal hua jo Qasim (as) sa kahin phir kabhi dulha nahi dekha

............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
                     India




Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida