Andhera qismat ka beach main hai kahin hai bhai kahin bahen hai ll Salam Maula Hussain as &"BiBi Zainab sa

                             (Salam)
Andhera qismat ka beach main hai kahin hai bhai kahin bahen hai Ridaye Zainab (sa) hai kashmakash main Hussain (as) maqtal main be kafan hai Jafayen ho'n khatm karbala ki ajab tareeqa ajab chalan hai Hai tukde jalti zamee'n peh dulha aseer ik raat ki dulhan hai Kahin peh Akbar (as) kahin peh Qasim (as) kahin peh Abbas (as) be kafan hai Yahi to baagh e Hussain (as) bekas yahi to mazloom ka chaman hai Gale main nawak lahu main Asghar (as) yeh kah kay shah ne lahed main sounpa Libas e aakhir isi ko samjho yahi hai kurta yahi kafan hai Kahan murado'n main rahne wali kaha'n yeh qismat ki sakht manzil Hussain (as) ka dil hai jo Sakina (sa) usi ka bazu hai aur rasan hai Azeezo ansar mar chuke hain Hussain (as) hain aur ajal ki nazre'n Hazar tegho'n main aik sar hai hazar teero'n main aik tan hai Ali (as) hain maqtal main sar jhukaye Rasool (s.a.w.w) hain sar peh khak dale Kaleja thame wahi'n hain Zahra (sa) jahan peh shabbeer (as) be kafan hai



............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India

https://www.youtube.com/watch?v=05ezrhCX4k4

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida