Be kafan tha jigar band e Zahra (sa) ll be rida thi bahen karbala main
(Nauha)
Be kafan tha jigar band e Zahra (sa)
Be rida thi bahen karbala main
Ahle islam loota gaya hai
Fatima (sa) ka chaman karbala main
Asr kay waqt mahshar bapa tha
Ik andhera sa chane laga tha
Dhal raha tha imamat ka suraj
Kanpti thi kiran karbala main
Be kafan tha jigar band e Zahra (sa)
be rida thi bahen karbala main
Run main tha kaun apna yagana
Tha woh majburiyon ka zamana
Zibh hota tha sibt e payamber
Dekhti thi bahen karbala main
Be kafan tha jigar band e Zahra (sa)
be rida thi bahen karbala main
Har taraf run main fauj e laeen thi
Sar peh Kubra (sa) kay chadar nahi thi
Hath se munh chupaye huway thi
Aik shab ki dulhan karbala main
Be kafan tha jigar band e Zahra (sa)
be rida thi bahen karbala main
Ik taraf thi shaheedon ki lashen
Ik taraf jal rahi thi qanaten
Hasrato yaad se dekhte thay
Abid e (as) khasta tan karbala main
Be kafan tha jigar band e Zahra (sa)
be rida thi bahen karbala main
Dafn ki koi surat nahi thi
Lash 40 din tak padi thi
Thi aseeri ki halat main Zainab (sa)
Kaun deta kafan karbala main
Be kafan tha jigar band e Zahra (sa)
be rida thi bahen karbala main
Hashr se kam nahi tha woh manzar
Jab chini sar se bewon kay chadar
Sar khule dekhta kaise suraj
Lag gaya tha gahen karbala main
Be kafan tha jigar band e Zahra (sa)
be rida thi bahen karbala main
Be watan koi mar jaye aakar
Ho na guslo kafan tak muyassar
Aye musalmano sham aur kufa
Kya yahi hai chalan karbala main
Be kafan tha jigar band e Zahra (sa)
be rida thi bahen karbala main
Jalti raiti peh thi lash e uryan
Chod kar chal diye sub musalman
Bahr e shabbeer zarraye sahra
Ban gaye thay kafan karbala main
Be kafan tha jigar band e Zahra (sa)
be rida thi bahen karbala main
Khoob ummat ne ki qadr dani
Pusht par hai abhi tak nishani
Baad e shabbeer bandhi gait hi
Bazuon main rasan karbala main
Be kafan tha jigar band e Zahra (sa)
be rida thi bahen karbala main
Yeh saro tan ki MAZHAR judai
Khoon kay aansu rulati rahe gi
Padh kay Shabbeer tha pesh ja kar
Khak par tha badan karbala main
Be kafan tha jigar band e Zahra (sa)
be rida thi bahen karbala main
Poet: Janab Mazhar Sahab
............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
https://www.youtube.com/watch?v=99GuAtx_MvQ
............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
https://www.youtube.com/watch?v=99GuAtx_MvQ
Comments
Post a Comment