Kaha hinda ne bibi you’n bhi koi jaan khota hai
(Salam & Nauhe)
Kaha hinda ne bibi you’n bhi koi jaan khota hai
Sakina (sa) ne kaha jiska koi marta hai rota hai
Sakina (sa) ne kaha x3
Kaha hinda ne layi hu’n main pani kyon nahi peeti
Sakina (sa) ne kaha kunba – mera bin pani sota hai
Sakina (sa) ne kaha x3
Kaha hinda ne bibi yeh lahu kurte peh hai kaisa
Kaha bunde chine jab se – lahu kano se bahta hai
Sakina (sa) ne kaha x3
Kaha hinda ne layi hun ridaye’n kyon nahi leti
Kaha mera gharana – be kafan jangal main sota hai
Sakina (sa) ne kaha x3
Kaha hinda ne bibi lait kar aaram to kar lo
Kaha durro’n ka tan peh – zakhm sote waqt dukhta hai
Sakina (sa) ne kaha x3
Kaha hinda ne bibi aaj kyon itna paresha’n ho
Kaha sar ko jhuka kar – bazuo’n main dard hota hai
Sakina (sa) ne kaha x3
Kaha hinda ne bibi neel hain rukhsar par kaise
Kaha shim e sitamgar ne – tamanche mujh ko mara hai
Sakina (sa) ne kaha x3
Kaha hinda ne apne chehre par kyon hath malti ho
Kaha ro kar yateemo’n ka – yahi dastoor hota hai
Sakina (sa) ne kaha x3
Kaha hinda ne bibi kyon gale par hath rakhti ho
Kaha jab se rasan bandhi – gai rah rah kay dukhta hai
Sakina (sa) ne kaha x3
Kaha hinda ne bibi har ghadi rona nahi acha
Kaha main khud nahi roti – hun dil seene main rota hai
Sakina (sa) ne kaha x3
Kaha hinda ne bibi kyon sabho’n ki goad takti ho
Kaha mujh ko mera chota – brother yaad aata hai
Sakina (sa) ne kaha x3
Kaha hinda ne bibi dhoop main roti ho kyon ja kar
Kaha is dhoop main ab tak – mere baba ka lasha hai
Sakina (sa) ne kaha x3
............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
https://www.youtube.com/watch?v=H7ss2wLIVE8
https://www.youtube.com/watch?v=6QK77iZaOqw
https://www.youtube.com/watch?v=vhvUhyVJb5c
Comments
Post a Comment