Kahte thay shah dukhyari bahen se – bhai hai zinda rona Zainab (sa)
(Nauha)
Kahte thay shah dukhyari bahen se – bhai hai zinda rona Zainab (sa)
Sabr karo qismat main azal se – tha yahi likhkha rona Zainab (sa)
Aye meri Zainab (sa) sabr he karna – baad mere jab koi na hoga
Mud kay najaf ki simt bulana – aayengay baba rona Zainab (sa)
Akbar (as) aur Asghar (as) ki qasam hai – mere bureeda sar ki qasam
hai
Dekho jab aajayengay baba – shikwa na karna rona Zainab (sa)
Sham e ghareeba’n kay manzar main – aag lage gi tere ghar main
Lekin aag bujhane wala – koi na hoga rona Zainab (sa)
Dil toote awaaz na aaye – sabr ka daman choot na jaye
Meri bahen tum bint e Ali (as) ho – Saniye Zahra rona Zainab (sa)
Jis dam choome bahen kay bazu – ho gaya dil aakhir be qaboo
Tapke shah ki aankho’n se aansu – aur farmaya rona Zainab (sa)
Zainab (sa) ne phir choom kay garden – shah se kaha AAZAM yeh
fauran
Waqt e rukhsat rote rote – kahte ho bhai rona Zainab (sa)
............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment