Nauha Ali Asghar (as) & Bibi Sakina (sa) ll Sakina (sa) le rahi hai hichkiya’n yeh dekh kar manzar
(Nauha)
Poet: Mubarak Jalalpuri
............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Sakina (sa) le rahi hai hichkiya’n yeh dekh kar
manzar
Nazar aate nahi jhule main kyon bhaiyya Ali
Asghar (as)
Jhulaye kis ko ab jhula brother ab teri khahar
Nazar aate nahi jhule main kyon bhaiyya Ali
Asghar (as)
Sabhalta dil nahi tum se bichad kar aye mere bhai
Tumhe need aagai kyon karbala ki jalti raiti par
Nazar aate nahi jhule main kyon bhaiyya Ali
Asghar (as)
Sakina (sa)………………..Haye Sakina (sa)
Sakina (sa) le rahi hai hichkiya’n yeh dekh kar
manzar
Aye mere neem jaa’n Asghar (as) madina tum nahi
pahunche
Raha woh hurmula ka teer teri jaan he le kar
Nazar aate nahi jhule main kyon bhaiyya Ali
Asghar (as)
Sakina (sa)…………………..……..Haye Sakina (sa)
Sakina (sa) le rahi hai hichkiya’n yeh dekh kar
manzar
Bahen ab kya kare mere brother kuch to batla do
Tadapti hai tumhare waste aa dekh le manzar
Nazar aate nahi jhule main kyon bhaiyya Ali
Asghar (as)
Sakina (sa)………………..Haye Sakina (sa)
Sakina (sa) le rahi hai hichkiya’n yeh dekh kar
manzar
Nigaho’n se teri tasweer hatti ab nahi pyare
Bhulayengi tumhen kaise bhala amma Ali Asghar
(as)
Nazar aate nahi jhule main kyon bhaiyya Ali
Asghar (as)
Sakina (sa)………………..Haye Sakina (sa)
Sakina (sa) le rahi hai hichkiya’n yeh dekh kar
manzar
Pada hai karbala ki rait par nanha badan tera
Bahut hai dhoop chale pad jaye’n ab tere tan par
Nazar aate nahi jhule main kyon bhaiyya Ali
Asghar (as)
Sakina (sa)………………..Haye Sakina (sa)
Sakina (sa) le rahi hai hichkiya’n yeh dekh kar
manzar
Aye bhaiyya laut aao tum meri aagosh khali hai
Sulaye gi bahen seene peh tum ko loriya’n de kar
Nazar aate nahi jhule main kyon bhaiyya Ali
Asghar (as)
Sakina (sa)………………..Haye Sakina (sa)
Sakina (sa) le rahi hai hichkiya’n yeh dekh kar
manzar
Bahut pyase rahe bhai nahi pani mila tum ko
Na ho pai zaba’n ik boond pani se tumhari tar
Nazar aate nahi jhule main kyon bhaiyya Ali
Asghar (as)
Sakina (sa)………………..Haye Sakina (sa)
Sakina (sa) le rahi hai hichkiya’n yeh dekh kar
manzar
Huway 6 maah kay to aa gai tum ko qaza bhaiyya
Jhulaye kis ko gahware main aakhir ab teri khahar
Nazar aate nahi jhule main kyon bhaiyya Ali
Asghar (as)
Sakina (sa)………………..Haye Sakina (sa)
Sakina (sa) le rahi hai hichkiya’n yeh dekh kar
manzar
Moyassar ab madina teri khahar ko nahi hoga
Yeh lagta hai ki mar jaungi main zinda’n kay
andar
Nazar aate nahi jhule main kyon bhaiyya Ali
Asghar (as)
Sakina (sa)………………..Haye Sakina (sa)
Sakina (sa) le rahi hai hichkiya’n yeh dekh kar
manzar
Na jhule main tumhen rahne diya in sham walo’n ne
Na rah paye akhi baad e qaza bhi qabr kay andar
Nazar aate nahi jhule main kyon bhaiyya Ali
Asghar (as)
Sakina (sa)………………..Haye Sakina (sa)
Sakina (sa) le rahi hai hichkiya’n yeh dekh kar
manzar
Lahed teri bana kar jis ghadi dafna chuke baba
Liye hatho’n main naize aa gaya woh zulm ka
lashkar
Nazar aate nahi jhule main kyon bhaiyya Ali
Asghar (as)
Sakina (sa)………………..Haye Sakina (sa)
Sakina (sa) le rahi hai hichkiya’n yeh dekh kar
manzar
Chibhoo kar 1 naize se nikali lash jab teri
Nahi sabhla hai us kay baad se bhaiyya dil e
mather
Nazar aate nahi jhule main kyon bhaiyya Ali
Asghar (as)
Sakina (sa)………………..Haye Sakina (sa)
Sakina (sa) le rahi hai hichkiya’n yeh dekh kar
manzar
MUBARAK kar rahi thi yeh baya’n bint e shah e
wala
Tadap kar mar gai ik rose woh bhi qaid kay andar
Nazar aate nahi jhule main kyon bhaiyya Ali
Asghar (as)
Sakina (sa)………………..Haye Sakina (sa)
Sakina (sa) le rahi hai hichkiya’n yeh dekh kar
manzar
............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment