Salam Bibi Zainab (sa) Kis aalam e ghurbat main giraftar hai Zainab (sa)

                       (Salam) 

Kis aalam e ghurbat main giraftar hai Zainab (sa) Ik din main 72 ki azadar hai Zainab (sa) Jin bibiyo'n kay waliyo waris nahi baqi Un bibiyo'n ki qafela salar hai Zainab (sa) Zainab (sa) se yeh kahti thi mohabbat shah e dee'n ki Bin bhai kay jeena tera dushwar hai Zainab (sa) Sone kay liye baap kay seene peh Sakina (sa) Zidd karti hai par kya kare lachar hai Zainab (sa) Logo yeh qayamat ki ghadi hai ki nahi hai Be maqna o chadar sar e darbar hai Zainab (sa) Suraj se yeh kah do ki chala jaye gahan main Sar nange hai aur kufe ka bazar hai Zainab (sa) Rauz e peh bula lijiye is khasta jigar ko SABIR bhi tere bhai ka ghamkhar hai Zainab (sa) Poet: Janab Sabir Sahab

............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India

https://www.youtube.com/watch?v=nKkp2ugspDo

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida