8 Rabeeul Awwal Alwidai Nauha ll Nabi ki aal madine main lut kay aayi hai


                       (Nauha)
Nabi ki aal madine main lut kay aayi hai
Hussain (as) pyase ka Zainab (sa) salam layi hai

Khabar basheer ne aa kar yeh kya sunayi hai
Ki qabr Ahmad e mursal ki thar tharayi hai
Udasi har dar o deewar par bhi chayi hai
Gham o alam se har ik chashm dub dabayi hai
Nabi ki aal madine main lut kay aayi hai
Hussain (as) pyase ka Zainab (sa) salam layi hai

Gayi mazar e payamber peh nauha kha’n Zainab (sa)
Giri lahed peh basad nala o fugha’n Zainab (sa)
Lipat kay qabr se karne lagi baya’n Zainab (sa)
Luta kay aayi hai jangal main karwa’n Zainab (sa)
Utho mazar se nana mere duhayi hai
Hussain (as) pyase ka Zainab (sa) salam layi hai

Kabhi na bhule gi Zainab (sa) woh zulm ka manzar
Akela tha mera bhai hazaro’n baniye shar
Har aik samt se barsa rahe thay teero tabar
Sawar doshe payamber tha apne khoon main tar
Bayan kya kare Zainab (sa) jo kho kay aayi hai
Hussain (as) pyase ka Zainab (sa) salam layi hai

Lipat kay qabr se Zainab (sa) pukari aye nana
Pase Hussain (as) hame’n zalimo’n ne you’n loota
Jalaya aag se khaima saro’n se cheeni rida
Rasan main hum ko laeeno’n ne is tarah bandha
Yeh dekho aaj bhi zakhmi meri kalayi hai
Hussain (as) pyase ka Zainab (sa) salam layi hai

Uthi lahed se phir ik bar Zainab (sa) e Mahzoo’n
Zameen hilne lagi kanpne laga gardu’n
Tabarrukaat kushada kiye bahal e zaboo’n
Nikal kar kaha shah ka amama e pur khoo’n
Safar se nana yeh tohfa nawasi layi hai
Hussain (as) pyase ka Zainab (sa) salam layi hai

Tha qabr e paak e nabi par yeh haal bano ka
Liye thi hath main Besheer (as) ka jala jhula
Rakha mazar peh Asghar (as) ka khoo’n bhara kurta
Kaha ki aap ki ummat ka layi hu’n shikwa
Ki sheer khar bhi mara gaya duhayi hai
Hussain (as) pyase ka Zainab (sa) salam layi hai

Phuphi se Fatima Sughra (sa) ne pucha yeh ro kar
Batao aye phuphi amma’n kaha’n hain mere pidar
Dekha do hai kaha’n bhaiyya mera Ali Asghar (as)
Kaha phuphi ne ki aye beti lut gaya sub ghar
Tamam kunbe ko jangal main kho kay aayi hai
Hussain (as) pyase ka Zainab (sa) salam layi hai

Kaha yeh aan kay Ummul Banee’n ne Zainab (sa) se
Mujhe yaqee’n nahi kyon kar Hussain (as) qatl huway
Kaha’n peh tha mera Abbas (as) yeh bata do mujhe
Jigar ko tham kay farmaya ro kay Zainab (sa) ne
Tumhare sher ko dariya peh maut aayi hai
Hussain (as) pyase ka Zainab (sa) salam layi hai

Baya’n yeh Zainab (sa) e nashad ne kiya jis dam
Hussain (as) mar gaye jeeti rahi main haye sitam
Bandhe thay hath na bhai ka kar saki matam
ATA yeh sun kay hili qabr e mursale aazam
Watan main aayi main jangal main mera bhai hai
Hussain (as) pyase ka Zainab (sa) salam layi hai

Poet: Late ATA Sahab Mustafabad Jalalpur A.N



…………Zeya Abbas Haideri…………
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
                       India  

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida