Alwedai Nauha ll Alwida mere maula – alwida mere aaqa


                     (Nauha)
Alwida mere maula – alwida mere aaqa
Khatm hain aza kay din – alwida shah e wala

Dil ki kaifiyat kya hai – kis tarah bataye’n hum
Zakhm teri  furqat kay – kis tarah dekhaye’n hum
Jis ka khauf tha hum ko – aagaya wahi lamha
Alwida mere maula – alwida mere aaqa

Sune sune lagte hain – aaj sub aza khane
Kaise hum sambhale’n gay – apna dil khuda jane
Khud peh bus nahi dil par – akhtiyar kya hoga
Alwida mere maula – alwida mere aaqa

Farsh e matam e sarwar – ab gharo’n se uththe’n gay
Kis tarah se yeh manzar – sogwar dekhe’n gay
Kis tarah nibhaye’n gay – farz mezbani ka
Alwida mere maula – alwida mere aaqa

Majliso’n ki aawaze’n – aur sadaye’n matam ki
Aankhe’n raah dekhe’n gi – saal bhar moharram ki
Jab bichega farsh e gham – aur aaye’n gi Zahra (sa)
Alwida mere maula – alwida mere aaqa

Taziye kaha’n ho’n gay – aur kaha’n alam hoga
Saal bhar nigaho’n se – ik chalakta gham hoga
Kis tarah sambhale’n gay – sogwar dil apna
Alwida mere maula – alwida mere aaqa

Aap ki judai main – sare sogwaro’n ka
Aap kay bina aaqa – aap kay ghulamo’n ka
Koi pal nahi kat ta – dil kahin nahi lagta
Alwida mere maula – alwida mere aaqa


Aap ko sada de’n gay – aap ko pukare’n gay
Aap ki judai main – kaise din guzare’n gay
Aap kay siwa aaqa – kaun hai ghulamo’n ka
Alwida mere maula – alwida mere aaqa

Phir juloos ka jin par – hai maloom woh raste
Ab nazar na aaye’n gay – haye matmi daste
Haye kitni taizi se – mausam e aza guzra
Alwida mere maula – alwida mere aaqa

Umr bhar kare’n majlis – umr bhar kare’n matam
Phir bhi haq ada tera – kar nahi sake’n gay hum
Apne is ghulamo’n ko – bus muaaf kar dena
Alwida mere maula – alwida mere aaqa

Haq ki mezbani main – aap ki zeyafat main
Aap ki ijazat se – aap he ki khidmat main
KHADIM O FASEEL apna – pesh karte hain nauha
Alwida mere maula – alwida mere aaqa


…………Zeya Abbas Haideri…………
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
                        India

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida