Farmayen gi Imam e Zamana (as) se Fatima (sa) ll Anjuman Jafaria Redg.Mustafabad Nagpur Jalalpuri Ambedkar Nagar UP India
(Nauha)
Farmaye’n gi Imam e Zamana (as) se Fatima
(sa)
In zalimo’n se itna zara puch mere lal
Kyo’n karbala main zulm ki had par
kardiya
In zalimo’n se itna zara puch mere lal
Asghar (as) ki qabr khod kay sar kyon
qalam kiya
In zalimo’n se itna zara puch mere lal
Ik hath se sambhale huway tooti pasliya’n
Famaye’n gi Imam e Zamana (as) se shah ki
maa’n
Karbobala main thi mere Asghar (as) ki
kya khata
In zalimo’n se itna zara puch mere lal
Phir Sayyada (sa) tadap kay kahe’n gi aye
mere lal
In zalimo’n se pahle faqat kar yahi sawal
Mere chaman ko is tarah barbad kyon kiya
In zalimo’n se itna zara puch mere lal
Apni eba main lasha e Mohsin (as) liye
huway
Farmaye’n gi khadeeja bhi maula se aan
kay
Beti peh meri aisa sitam kyo’n kiya gaya
In zalimo’n se itna zara puch mere lal
Farwa ka lal Qasim e (as) naushah jis
ghadi
Ghode se run main aaya zamee’n par woh
mah jabee’n
Kyo’n zindagi main dulhe ko pamaal kar
diya
In zalimo’n se itna zara puch mere lal
13 baras kay sin main you’n pamaal kar
diya
Qasim (as) ka jism nazni tukdo’n main but
gaya
Apni eba main shah ne kaise jama kiya
In zalimo’n se itna zara puch mere lal
1300 ghode Qasim e (as) naushah kay jism
par
Aye lal ho rahe thay idhar se udhar idhar
Kaise tadap raha tha woh farwa ka ladla
In zalimo’n se itna zara puch mere lal
You’n karbala main pyasa tha bano ka
ladla
Munh kholta tha band woh karta tha ba
raha
Is haal main bhi pani use kyo’n nahi diya
In zalimo’n se itna zara puch mere lal
Kis be kasi se lasha e Akbar (as) ko noor
e ayin
Laya hai qatl gaah se khaime talak
Hussain (as)
Us waqt mere lal ka gham khar kaun tha
In zalimo’n se itna zara puch mere lal
18 saal ka Ali Akbar (as) sa naujawa’n
Kha kay sina ragadta tha maqtal main
aidiya’n
Kis darja naujawan ko us waqt dard tha
In zalimo’n se itna zara puch mere lal
Girya karengi kah kay khadeeja aye ladlay
Aankho’n se apni lasha e Mohsin (as) ko
dekh le
Kyo’n is ko qatl maa’n kay shikam main
kiya gaya
In zalimo’n se itna zara puch mere lal
Aye mere lal in se zara yeh bhi puch le
Ummul Banee’n kay lal kay jab hath cut
gaye
Ghode se woh zameen peh kis tarah se gira
In zalimo’n se itna zara puch mere lal
Paiwast itne teer thay jism e Hussain
(as) par
Ghode se gir kay aana nahi woh zameen par
Mera Hussain (as) teero’n peh kaise ruka
raha
In zalimo’n se itna zara puch mere lal
Zainab (sa) ne dekha kaise qayamat ka woh
sama’n
Thi kanpti zameen larazta tha aasa’n
Seene peh kaise shimr e sitam gar sawar
tha
In zalimo’n se itna zara puch mere lal
Munh peh tamanche maar kay ZAHID yeh phir
kaha
Karbobala main ghar mera barbad ho gaya
Mere pisar ka sookha gala kis tarah cuta
In zalimo’n se itna zara puch mere lal
Poet: Janab ZAHID Mustafabad Jalalpur A.N
Nauha By Anjuman Jafaria Redg. Mustafabad
Jalalpur A.N
………..Zeya Abbas Haideri…………
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment