Manqabat BiBi Masooma e Qum ll


                          (Manqabat)
Padhega manqabat ab koi kya Masooma e Qum ki
Ki jab Allah karta hai sana khud Masooma e Qum ki

Woh jannat kay nahi khud unke peeche jayegi jannat
Karega jo zeyarat Fatima (sa) Masooma e Qum ki

Use bheja hai khud shah ne shifa Masooma e Qum ne
Magar na hai kaneezo’n main shifa Masooma e Qum ki

Hai sikka mere bazu par bandha sultan e Mashhad ka
Jo mere sath rahti hai dua Masooma e Qum ki

Kareemi main pidar bibi ki deta hai sada fitrus
Kareemi karbala si hai ata Masooma e Qum ki

Laqab de kar kareema ka yeh tu ne kar diya sabit
Khudaya teri jaisi hai ata Masooma e Qum ki

…………Zeya Abbas Haideri…………
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
                         India

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida