Nauha Hazrat Ali Asghar (as) ll Mere Besheer (as) ka lasha kaha’n hai
(Nauha)
Hai ik dukhyari maa’n kay Dil Ka nauha
Mere Besheer (as) ka lasha kaha’n hai
Aye dasht e nainawa batla de itna
Mere Besheer (as) ka lasha kaha’n hai
Kaha’n hai woh mera nanha musafir
Tasawwur main mere Asghar (as) ki khatir
Hai rah rah khud ba khud yeh hath uth ta
Mere Besheer (as) ka lasha kaha’n hai
Paraya desh hai ghar bhi nahi hai
Koi malboos bhi baqi nahi hai
Kafan laye kaha’n se ab yeh dukhiya
Mere Besheer (as) ka lasha kaha’n hai
Agar jalne se bach jata woh jhula
Lita deti usi main la kay lasha
Na bach paya magar nanha sa jhula
Mere Besheer (as) ka lasha kaha’n hai
Suna hai jism par sar bhi nahi hai
Kaha’n be sar mera woh mahjabee’n hai
Main uska dekh lu’n halq e bureeda
Mere Besheer (as) ka lasha kaha’n hai
Bada mazloom hai woh mera Asghar (as)
Kafan bhi ho nahi paya mayassar
Pada hai be kafan jangal main lasha
Mere Besheer (as) ka lasha kaha’n hai
Jo hota aaj yeh apna madina
Pada rahta na is ghurbat main lasha
Utha kay goad main le lu’n janaza
Mere Besheer (as) ka lasha kaha’n hai
Nauha By Anjuman Jafaria Redg.Mustafabad
Nagpur Jalalpur Ambedkar Nagar UP India
…………Zeya Abbas Haideri…………
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment