Pyasi hai Sakina (sa)


                     (Nauha)
Aye baad e saba ja kay yeh ammu ko batana
Pyasi hai Sakina (sa)
Yaad aaye Sakina (sa) to chahcha laut kay aana
Pyasi hai Sakina (sa)

Is chote se sin main woh sitam main ne uthaye
Allah kisi ko na yateem aisa banaye
Khud apne lahu main koi bachchi na nahaye
Main tum ko bulati rahi tum bhi to na aaye
Main ban gayi baad asr laeeno ka nishana
Pyasi hai Sakina (sa)

Ghar laut kay jate hain har ik sham parinde
Qismat main likhe hain meri zinda’n kay andhere
Kab tak main jiyou’n gi you’n he ashko’n kay sahare
Lagta hai ki mar jaungi ab door watan se
Hoga na mayassar mujhe ghar laut kay jana
Pyasi hai Sakina (sa)

Jis roze se Asghar (as) ko mila baba ka seena
Us roze se ammu nahi so payi Sakina (sa)
Is haal main jaungi main kis tarah madina
Aajaye mujhe maut hai kis kaam ka jeena
Jagi hu’n bahut aa ke chacha mujh ko sulana
Pyasi hai Sakina (sa)

Pani ki talab mujh ko khilati rahi thokar
Kahta tha laee’n dunga main faujo’n pila kar
Jab shimr e laee’n kar chuka sairab yeh lashkar
Dikhla kay mujhe phaink diya pani zamee’n par
Tab samjhi main kya hota hai ummeed dilana
Pyasi hai Sakina (sa)

Ik jaam hua sham e ghareeba’n main moyassar
Woh kooza main rakh aayi thi Asghar (as) ki lahed par
Tha mujh se bhi chota mera bhaiyya mera dilbar
Sharminda main ho jati chacha pyas bujha kar
Ab apne he hatho’n se meri pyas bujhana
Pyasi hai Sakina (sa)

Ik rassi main hum sub kay gale bandh kay aada
Karte huway tashheer chale janib e koofa
Aur us peh museebat yeh thi qad mera tha chota
Jab uthti thi’n phuphiya’n to gala khinchta tha mera
Garden ka meri zakhm chacha dekhne aana
Pyasi hai Sakina (sa)

Thi dil ki tamanna wahi’n maut aaye mujhe bhi
Turbat hai tarayi peh jaha’n mere chacha ki
Ik choti si sahil peh bane qabr bhi meri
Yeh aakhri khowahish bhi na ho paye gi poori
Mar kar bhi rahega mera zinda’n main thikana
Pyasi hai Sakina (sa)

ANWAR yeh sada parcham e Abbas (as) se aayi
Main bhool nahi sakta Sakina (sa) meri bachchi
Kate gaye bazu mere majboor tha bibi
Mashkeeza alam main hai bandha dekh le ab bhi
Parcham ka mere kaam hai duniya ko batana
Pyasi hai Sakina (sa)


Poet: Janab ANWAR Allahabad UP India


…………Zeya Abbas Haideri…………
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
                      India



Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida