Sada madine main di jab basheer ne ro kar


                 (Nauha)
Sada madine main di jab basheer ne ro kar
Hussain (as) qatl huway aagaye haram lut kar
Kaha yeh Hazrat e Ummul Baneen ne sun kar
Mere Hussain (as) kay humrah mera Ghazi tha
Main kaise maan lu’n mera Hussain (as) qatl hua
Mere Hussain (as) kay………………………

Basheer rok le apni zaba’n mat kahna
Hussain ibn e Ali (as) karbala main qatl hua
Mere Hussain (as) kay humrah mera Ghazi tha
Aye bibi apni zaba’n se kaho na yeh jumla
Main kaise maan lu’n mera Hussain (as) qatl hua
Mere Hussain (as) kay………………………

Tadap kay kahne laga main ghalat nahi kahta
Rula rula kay laeeno ne unko qatl kiya
Zameen garm peh urya’n pada raha lasha
Aye bibi apni zaba’n se kaho na yeh jumla
Main kaise maan lu’n mera Hussain (as) qatl hua
Mere Hussain (as) kay………………………

Lagi thi hatho’n main jiske beyah ki mehendi
Kiya laeeno ne you’n payemal aye bibi
Hasan (as) kay lal ki mayyat nahi salamat thi
Aye bibi apni zaba’n se kaho na yeh jumla
Main kaise maan lu’n mera Hussain (as) qatl hua
Mere Hussain (as) kay………………………

Hussain (as) par woh ajab waqt tha qayamat ka
Utha rahe thay jo kadyal jawan ka lasha
Madad kay waste un ki koi na zinda tha
Aye bibi apni zaba’n se kaho na yeh jumla
Main kaise maan lu’n mera Hussain (as) qatl hua
Mere Hussain (as) kay………………………

Shaheed ho gaya jab run main Fatima (sa) ka pisar
Jalaya khaimo’n ko aada ne cheen li chadar
Bana kay qaidi haram ko phiraya nange sar
Aye bibi apni zaba’n se kaho na yeh jumla
Main kaise maan lu’n mera Hussain (as) qatl hua
Mere Hussain (as) kay………………………

Kaha basheer ne ro kar yahi kholasa hai
Watan ko laut kar jo qafela yeh aaya hai
Na sheer khaar hai is main na ab Sakina (sa) hai
Aye bibi apni zaba’n se kaho na yeh jumla
Main kaise maan lu’n mera Hussain (as) qatl hua
Mere Hussain (as) kay………………………

Yaqee’n na aaye tumhe’n dekh lo zara ja kar
Khade hain ahle haram sub madine se bahar
Safed baal hai jiska hai shah ki khowahar
Aye bibi apni zaba’n se kaho na yeh jumla
Main kaise maan lu’n mera Hussain (as) qatl hua
Mere Hussain (as) kay………………………

Tadap kay us ghadi Ummul Baneen ne pucha
Mere Hussain (as) ka jab cut raha tha sookha gala
Bata basheer ki Abbas (as) tha kaha’n mera
Aye bibi apni zaba’n se kaho na yeh jumla
Main kaise maan lu’n mera Hussain (as) qatl hua
Mere Hussain (as) kay………………………

Qasam woh kha gaya tha Nabi kay rauze par
Na aane dunga museebat koi bhi aaqa par
Isi liye nahi aata yaqeen yeh sun kar
Aye bibi apni zaba’n se kaho na yeh jumla
Main kaise maan lu’n mera Hussain (as) qatl hua
Mere Hussain (as) kay………………………

Batau’n kaise main Abbas (as) run main qatl hua
Kanare nahr kay pahle to dono shana kata
Phir uske baad main Ghazi kay sar peh gurz laga
Aye bibi apni zaba’n se kaho na yeh jumla
Main kaise maan lu’n mera Hussain (as) qatl hua
Mere Hussain (as) kay………………………

Kaleja tham kay sun lo yeh dasta’n bibi
Gira zameen peh ghode se munh kay bal ghazi
Khabar yeh sunte he shah ki kamar bhi toot gai
Aye bibi apni zaba’n se kaho na yeh jumla
Main kaise maan lu’n mera Hussain (as) qatl hua
Mere Hussain (as) kay………………………

Yeh sun kay malne lagi apne hatho’n ko dukhiya
Kaha basheer se ZAHID yaqeen mujh ko hua
Hussain (as) qatl huway qaid hui aale eba
Na ab kahun’gi main apni zaba’n se yeh jumla
Main kaise maan lu’n mera Hussain (as) qatl hua
Mere Hussain (as) kay………………………

Poet: Janab ZAHID Mustafabad Jalalpur A.N
Nauha By Anjuman Jafaria Redg.Mustafabad Jalalpur A.N

…………Zeya Abbas Haideri…………
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
                 India

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida