Salam BiBi Sakina (sa) ll Mar gai beemar ki choti bahen


          (Salam)
Sham kay zindan main yeh ghul hua
Mar gai beemar ki choti bahen
Chin gaya jab din judai ka maza
Mar gai beemar ki choti bahen

Maamta rakhe huway thi sar peh hath
Sonchti thi chut gaya beti ka sath
Qaid e gham main aur sannata hua
Mar gai beemar ki choti bahen

Bhai ki baho’n main bahe’n daal kar
Maut ko dekh liya tha phir safar
Dekhti baba ka kab tak rasta
Mar gai beemar ki choti bahen

Di kisi ne aake Zainab (sa) ko khabar
Koi yeh kahte huway aaya nazar
Is qadar shiddat se yaad aaye chacha
Mar gai beemar ki choti bahen

Waqt e aakhir is liye tha intezar
Dekh lo surat to aajaye qarar
Karbala kay baad se dekha na tha
Mar gai beemar ki choti bahen

Haddiya’n thi pyas se sookhi hui
Thi phuphi ki goad main baithi hui
Dard ki shiddat ne jab hamla kiya
Mar gai beemar ki choti bahen

Poet: Saleem Balrampuri



…………Zeya Abbas Haideri…………
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
                         India


Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida