Salam BiBi Sakina (sa) ll Thay bain Sakina (sa) kay lo jald khabar baba
(Salam)
Thay bain
Sakina (sa) kay lo jald khabar baba
Lagta hai
bahut mujh ko zindan main dar baba
Hain kaan
mere zakhmi aur khak hai balo’n par
Posheeda mera
kurta hai khoon main tar baba
Aye baba
bahut gham main to yaad kiya tum ko
Tum dekhne
beti ko aaye na magar baba
Tareek andhero’n
main hun qaid bahut din se
Ab yaad nahi
kaisi hoti hai sahar baba
Bahta hai
lahu ab tak zakhmi mere kano se
Khainche hain
sitamgar ne is tarah gohar baba
Main sham
kay zinda’n main ghut ghut kay na mar jau’n
Ik pal ko
nahi khulta zindan ka dar baba
Turbat peh
meri baba ik shamma jala dena
Main aap kay
aane tak mar jau’n agar baba
…………Zeya
Abbas Haideri…………
YouTube
Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment