Salam BiBi Sakina (sa) ll Wadiye sham se ho kar jo hawa aati hai


                  (Salam)
Wadiye sham se ho kar jo hawa aati hai
Kisi masooma kay rone ki sada aati hai

Kya yateema koi roti hai pidar kay gham main
Qaid khane se jo awaaz e buka aati hai

Sar e Abbas (as) se Sajjad (as) ne yeh ro kay kaha
Mujh ko Zainab (sa) kay khule sar se haya aati hai

Paye Sajjad (as) ki lipti hui zanjeero’n se
Aaj bhi girya o matam ki sada aati hai

Aaj bhi sham kay zindan ki tareeki se
Mere baba mere baba ki sada aati hai

Pursa Shabbeer (as) ka lene kay liye majlis main
Aik maa’n hai jo sare farsh e aza aati hai

Khoon e Abbas (as) e dilawar ka asar hai yeh SUHAIL
Khak e maqtal se jo khushboo main wafa aati hai

Poet:Janab SUHAIL Sahab

…………Zeya Abbas Haideri…………
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
                  India

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida