Yeh Zainab (sa) kay gham ka ajab waqeya hai ll Anjuman Jafaria Redg.Mustafabad Nagpur Jalalpur Ambedkar Nagar UP India
(Nauha)
Yeh Zainab (sa) kay gham ka ajab waqeya
hai
Rasan basta darbar main qafela hai
Aseero’n peh kaisa yeh din aa pada hai
Ki beemar qaisi banaya hua hai
Jo darbar e hakim main aaye hain qaidi
Rasan basta har aik bibi khadi thi
Kisi ka gala aur kalayi bandhi thi
Laee’n samne unke baitha hua hai
Jo zalim ne nanhi Sakina (sa) ko dekha
To shimr e sitamgar se usne yeh pucha
Yeh kis ki nishani hai mujh ko bhi batla
Kaha is ko shah ne Sakina (sa) kaha’n hai
To bola Sakina (sa) se kahim sitamgar
Rakha hai kyo’n hatho’n ko munh aur gale
par
To hakim se boli Sakina (sa) yeh ro kar
Gala mera rassi main jakda hua hai
Hain ik he rasan main bandhe 12 qaidi
Ki in qaidiyo’n main Sakina (sa) hai
choti
Gale ki rasan is wajah se hai khinchti
Rasan khinchte khinchte gala kas utha hai
Azeezo ab aage ki you’n hai rawayat
Ki sun kar jise tari ho jaye riqqat
Nabi zadiya’n aur aseeri ki halat
Zamane main kya inqelab aa gaya hai
Yazeed e laee’n bola shimr e laee’n se
Mujhe baat karna hai Zainab (sa) hazee’n
se
Har ik bibi hat jaye un kay qaree’n se
Yeh shimr e sitamgar ne jis dam suna hai
Liye taziyana qaree’n aa kay bola
Har ik bibi hat jaye hakim hai kahta
Yeh sun kay hati’n sub magar haye Fizza
Ki us dam bhi Zainab (sa) ka parda kiya
hai
Jo dekha ki Fizza nahi hat rahi hain
Woh Zainab (sa) kay parde ki khatir khadi
hain
To bola ki ab shahzadi nahi hain
Ab aaj unka kunba to qaidi bana hai
Yeh kah kah kay jab tazeeyana uthaya
To habshi ghulamo’n se boli yeh Fizza
Meri qaum walo nahi dekhte kya
Tumhari hameeyat ko kya ho gaya hai
Yeh sun kay har ik ne talwar khainchi
Kaha ki yeh hakim ki bedad kaisi
Mana kar de warna nadi khoon he ki
Baha dengay yeh qaum ka mamla hai
Jo Zainab (sa) ne Fizza ka dekha yeh
rutba
Akhi kay kate sar ko hasrat se dekha
Kaha ro kay kaise karu’n sabr bhaiyya
Moqaddar he Zainab (sa) ka phoota hua hai
Bulaya jo Fizza ne nusrat ki khatir
Jawa’n 400 ho gaye aake hazir
Magar haye Zainab (sa) ka koi na nasir
Bulau’n kise kaun ab rah gaya hai
Suna jab ki shah ne bahen ka yeh nauha
To shah ka kata sar lagan he main roya
To sar ne nida di bahen sabr karna
Yahi tere bhai ki bus ilteja hai
Azadro Zainab (sa) ne shah ko nida di
Agar hote zinda jo Abbas e (as) Ghazi
To Zainab (sa) itni museebat na aati
Magar sher pahle mera mar chuka hai
Yeh sunte he kanp uththa Abbas (as) ka
sar
Nida di ajal se hun majboor khahar
Nahi to bhala sabr karta main kyo’n kar
Ki darbar main bhi tera sar khula hai
ZAFAR haye aalam ki shahzadiyo’n par
Yeh din aa gaya hai nabi zadiyo’n par
Hain bazar aur darbar main bhi khule sar
Ki bazu bhi uska rasan main bandha hai
Poet: Maulana Zafrul Hasan (ZAFAR Sahab) Mustafabad
Jalalpur A.N (Moqeem Gujrat)
Nauha by Anjuman Jafaria Redg.Mustafabad
Nagpur Jalalpur Ambedkar Nagar UP India
…………Zeya Abbas Haideri…………
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment