Yeh Zamee’n Hussain (as) Ki Aasma’n Hussain (as) Ka


                                  (Nauha)
Yeh Zamee’n Hussain (as) Ki Aasma’n Hussain (as) Ka
2 Jaha’n Ki Baat Kya Kul Jaha’n Hussain (as) Ka

Ambiya Ka Azm Bhi Sath Chod De’n Jaha’n
Us Maqaam Par Hua Imteha’n Hussain (as) Ka

Karbala Main Deen Kay Pasba’n Hussain (as) Thay
Ab Hai Deen e Mustafa Pasba’n Hussain (as) Ka

Taqato’n Se Kufr Ki Ho Gaya Hai Khanda Zan
Teer Kha Kay Halq Par Be Zuba’n Hussain (as) Ka

Aik Qatra Aab Ka Khaima e Shah Main Na Tha
Jis Ghadi Hur Hua Mehma’n Hussain (as) Ka

Aurato’n Kay Hath Se Haye Toot Toot Kar
Gham Mana Rahi Hain Yeh Chudiya’n Hussain (as) Ka

Nauha By Anjuman Jafaria Redg.Jalalapur A.N


…………Zeya Abbas Haideri…………
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
                        India

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida