Zinda’n main sitam toota Abid (as) peh dobara hai


            (Nauha)
Zinda’n main sitam toota Abid (as) peh dobara hai
Humsheer ki mayyat hai aur dard ka mara hai

Yeh tashna labi kya hai islam ki nusrat main
Shabbeer (as) kay bachcho’n ka marna bhi gawara hai

Kyo’n tasht main sar shah ka aata hai suway zinda’n
Kya nezam beti ne baba ko pukara hai

Abbas (as) ne hath apne phaila diye lene ko
Jab qabr main Abid (as) ne mayyat ko utara hai

Hai qabr e Sakina par ik shor QAMAR barpa
Mushtaq hain sub qaidi mahshar na nazara hai


Poet: Janab QAMAR Sahab

Nauha By Anjuman Jafaria Redg.Mustafabad Jalalpur A.N

…………Zeya Abbas Haideri…………
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
             India


Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida