Nauha Ali Asghar (as) || Bano Yeh Kahe Sham e Ghareeba'n Main Tadap Kar

(Salam)
Bano yeh kahe sham e ghareeba'n  main Tadap Kar 
Haye haye Ali Asghar (as) 

Beta Ali Asghar (as) ho Kahan Kuch to batao 
Chehra mujhe Ik Baar Zara aa Kay dekhao 
MAA'n sadqe yeh tum par 
Haye haye Ali Asghar (as) 

Aaja mere bachche main tujhe jhula jhulau'n 
Betab hun kab se tujhe seene se lagaun 
Dil par chale khanjar 
Haye haye Ali Asghar (as) 

Main MAA'n Hun mere Dil ko sukoon aayega kaise 
Maqtal main mere LAL Kahan so Gaye ja Kay 
Maa'n dhoondhe Kahan par 
Haye haye Ali Asghar (as) 

Sunti Hun Teri pyas ko teero'n se bujhaya 
Hurmal tha shaqi Kaisa jise rahem na Aaya 
Mara Gaya dilbar 
Haye haye Ali Asghar (as) 

Humrah brother Kay suway khuld sidhare 
Ro ro kay yeh MAA'n Tujh ko shabo roze pukare 
Aa Dekh le aa Kar 
Haye haye Ali Asghar (as) 

Aisa na Kada waqt Kisi Baap Peh Aaye 
Shah kahte thay lasha Ali Asghar (as) Ka uthaye 
Mar jayegi Mather 
Haye haye Ali Asghar (as) 

Kohram huwa KAMI sare farshe Aza peh
Dil tukde hua gham se ZEYA Nauha yeh padh Kay 
Barpa hua mahshar 
Haye haye Ali Asghar (as)

Poet: Kamran (Kami) From Pakistan 

............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
                    India 

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida