Salam Bibi Fatima Zahra (sa) || Kadi hai dhoop qabr e Sayyada (sa) hai

                  (Salam) 

Kadi hai dhoop qabr e Sayyada (sa) hai

Sitam ki inteha mere khuda hai

 

Tadap kay rooh e Ahmed kah rahi hogi

Sila kya khoob mujh ko yeh diya hai

 

Sanad kay kar diye zalim ne tukde

Nabi zadi peh kaisi yeh jafa hai

 

Khadi darbar main kab se hui hai

Musalmano yeh bint e Mustafa hai

 

Laraz kar rah gaya darbar sara

Jo  khutba aap ne bibi diya hai

 

Sitam ki had to dekho aag le kar

Shaqi woh dar peh Zahra (sa) kay khada hai

 

Jala dala nabi zadi kay ghar ko

Fiza main haye baba ki sada hai

 

Na jee payee’n pidar kay baad bibi

Sitam kaisa laeeno’n ne kiya hai

 

Sabhi rote hain pursa daar Kami

Ki nauha tu ne yeh aisa likha hai

 

Poet: Kamran kami (Pakistan)

 

 

…………Zeya Abbas (Haideri)…………

YouTube Search On Zeya Jalalpuri

                         India

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida