Salam Imam Ali Naqi (as) || Tadap Kay Roya Hai Beta Imam Hadi (as) Ka
(Salam)
Tadap Kay Roya Hai Beta Imam Hadi (as) Ka
Hai Taar Taar Kaleja Imam Hadi (as) Ka
Diya Tha Zahr Laee'n Ne Jo Mere Maula Ko
Kaleja Ho Gaya Para'h Imam Hadi (as) Ka
Laraz Uthi Hai Baqaiyya Main Turbat e Zahra (sa)
Lo Uth Raha Hai Janaza Imam Hadi (as) Ka
Gham e Pidar Main Hasan Askari (as) Nidhal Huway
Utha Hai Sar Se Jo Saya Imam Hadi (as) Ka
Lahed Main Fatima Zahra (sa) Ko Phir Rulaya Gaya
Janaza Ghar Se Jo Nikla Imam Hadi (as) Ka
Gharo'n Main Apne Aye Logo Bapa Karo Matam
Hai Aaj Dil Peh Yeh Sadma Imam Hadi (as) Ka
Bicha Kay Farsh e Aza Majlise'n Karo Barpa
Nabi Ko Dena Hai Pursa Imam Hadi (as) Ka
Cherag Daswa'n Imamat Ka Bujh Gaya Paikar
Hai Sogwar Madina Imam Hadi (as) Ka
Poet: Janab Paikar Jalalpuri
............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment