Salam Imam Ali (as) ll Tadap kay rah gaya maula hamara aaj masjid main
(Salam)
Tadap kay rah gaya maula hamara aaj masjid main
Ali (as) ka khoo’n main dooba hai amama aaj masjid main
Lagayi zarb kaisi ibn e muljim tu ne Haider (as) par
Mosalle par tadap uththe hain maula aaj masjid main
Sar e aqdas peh kaisa waar tu ne kar diya zalim
Ali (as) ka ho gaya sar para para aaj masjid main
Lahed bint e payamber ki laraz uththi madine main
Kiya zalim ne maula par jo hamla aaj masjid main
Qayamat ho gayi barpa yeh kufe ki fizao’n main
Utha Hasnain (as) kay sar se hai saya aaj masjid main
Yateemo’n aur ghareebo’n ka sahara ab nahi koi
Ali (as) ka khoo’n main dooba sarapa aaj masjid main
Zaher aalood thi kitni bata talwar yeh muljim
Ali (as) jaisa bahadur bhi na sambhla aaj masjid main
Jabee’n par khaak malte malte yeh kahne lage maula
Lahoo main dooba hai yarab mosalla aaj masjid main
Sada Jibreel (as) ki goonji hai kufe ki yeh galiyo’n main
Mere aaqa ko hai zalim ne mara aaj masjid main
Utha saya hamare sar Paikar aaj maula ka
Bin e muljim ne hai Haider (as) ko mara aaj masjid main
Poet: Paikar Jalalpuri
............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
You write good noha/matam
ReplyDeleteLast time i saw your nohaa and read in front of everyone in Moharram.
I am requesting you can you write on 'SALAM GHAZI' please please